A recent collection of poems written during Covid-19 lockdown
Sochta hoon kuch aam banu
Sochta hoon kuch aam banu
Hath bataoon,
kisi ka aaram banu
Chup chaap apna kaam karu
Baatein sunnu, kisi ka awaaz banu
Sochta hoon kuch aam banu
Apno ke sapno ko bas anjaam doon
Mehnat karu, par khush rahoon
Khud ko, roz har haal mein apna loon
Sochta hoon kuch aam banu ...
A run in place
No moving trees
No zooming faces
No turning streets
No passing gazes
Today we run
We run in place
Today we run
We run in place
No barking dogs
No screaming hellos
No fleeting birds
No hustling shadows
Today we run
We run in place
Today we run
We run in place
With promises and prayer
With grit and care
With love and no fear
We run, we dare
Today we run
We run in place
Today we run
We run in place
आज की ताज़ा खबर
खबरों का कारोबार चल रहा है
हर एक इंसान मानो खबरी बना है
खबर और कब्र सात बिक रही हैं
कब्रो से ज्यादा अब खबरों का खौफ है
खबरों से फुर्सत मिलते ही
सब एक दूसरे की खबर लेते है
जिनका सालों से कोई खबर नहीं
उनको भी अब सब खबर है
खबरों का सिलसिला
ख़तम होते ही
सब अपने स्वार्थ की कब्र
में लौट जाएंगे
ऐसे वक्त पर
अख़बार की बड़ी याद आती है
ना कोई ढोंग, ना कोई जबरदस्ती करता
चुप चाप मेरी आवाज़ की नकल उतारकर
मुझे खबरें सुनाता
Aawaz kar
Aawaz kar mere yaar
Aawaz kar
Chup reh kar bas naiya
Paar na kar
In cheekti lehro ko
In doobti chehron ko
Nazar andaz na kar
Aawaz kar mere yaar
Aawaz kar
Aankhein mundhe naiya
Paar na kar
In khamosh baadalon ko
In "nirdosh" haiwaano ko
Benaqaab kar
Aawaz kar mere yaar
Aawaz kar
Ek baar, sau baar
Kinare jeet kar
Tu chup chaap aaram na kar
Insaaf kar mere yaar
Insaaf kar
Kuch na sahi toh aawaz kar
Khidki
Aaj kal khidki par bada mann lagta hai
Aankhein chappal pehne nikal padti hai
Ab har khidki par ek daastan hai
Ab khidki par do pal ka aaram hai
Aaj kal khidki par bada mann lagta hai
Dehaleez pe hazaaro irade ruke hai
Khidkiyon pe khade yeh dil khat likhta hai
Ab iss tehrav, iss khule pan mein bada mann lagta hai
Aaj kal khidki par bada mann lagta hai